jo tere husn pe miT jae wo parwana banun
jo tere husn pe miT jaa.e vo parvāna banūñ
mere jānāñ maiñ tere 'ishq kā afsāna banūñ
bandagī kā vo salīqa de mujhe banda-navāz
miT bhī jā.ūñ to sañg-e-dar-e-jānāna banūñ
'ishq ne kar diyā majbūr yahāñ tak mujh ko
jaan us but pe fidā kar ke maiñ but-ḳhāna banūñ
itnī chāhat hai mujhe ai mere mahbūb terī
tū jo ban jaa.e sanam maiñ bhī sanam-ḳhāna banūñ
'ishq-e-mahbūb kuchh is tarh miTā.e mujh ko
ai 'fanā' ho ke fanā jalva-e-jānāna banūñ
jo tere husn pe miT jae wo parwana banun
mere jaanan main tere 'ishq ka afsana banun
bandagi ka wo saliqa de mujhe banda-nawaz
miT bhi jaun to sang-e-dar-e-jaanana banun
'ishq ne kar diya majbur yahan tak mujh ko
jaan us but pe fida kar ke main but-KHana banun
itni chahat hai mujhe ai mere mahbub teri
tu jo ban jae sanam main bhi sanam-KHana banun
'ishq-e-mahbub kuchh is tarh miTae mujh ko
ai 'fana' ho ke fana jalwa-e-jaanana banun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.