tamanna kyun karun dair-o-haram mein sar jhukane ki
tamanna kyun karun dair-o-haram mein sar jhukane ki
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
tamannā kyuuñ karūñ dair-o-haram meñ sar jhukāne kī
merī āñkhoñ meñ hai tasvīr tere āstāne kī
mujhe bhī kuchh 'atā kar maiñ tere dar kā savālī huuñ
tere lutf-o-karam ne jholiyāñ bhar diiñ zamāne kī
sila paayā hai maiñ ne bāġhbāñ ye apnī ḳhidmat kā
chaman se le chalā huuñ ḳhaak apne āshiyāne kī
hañsī dekhī hai jab se aap ke mā'sūm hoñToñ par
adā achchhī nahīñ lagtī kalī ke muskurāne kī
bahāroñ kā zamāna yaad aa.egā to ro lūñgā
qafas meñ ik yahī sūrat hai ab taskīn paane kī
hazāroñ āstāne aur bhī duniyā meñ haiñ lekin
mujhe hasrat hai tere dar pe qismat āzmāne kī
merī bad-qismatī dekho 'fanā' vo chal diye uTh kar
mujhe fursat milī jab dāstān-e-ġham sunāne kī
tamanna kyun karun dair-o-haram mein sar jhukane ki
meri aankhon mein hai taswir tere aastane ki
mujhe bhi kuchh 'ata kar main tere dar ka sawali hun
tere lutf-o-karam ne jholiyan bhar din zamane ki
sila paya hai main ne baghban ye apni KHidmat ka
chaman se le chala hun KHak apne aashiyane ki
hansi dekhi hai jab se aap ke ma'sum honTon par
ada achchhi nahin lagti kali ke muskurane ki
bahaaron ka zamana yaad aaega to ro lunga
qafas mein ek yahi surat hai ab taskin pane ki
hazaron aastane aur bhi duniya mein hain lekin
mujhe hasrat hai tere dar pe qismat aazmane ki
meri bad-qismati dekho 'fana' wo chal diye uTh kar
mujhe fursat mili jab dastan-e-gham sunane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.