tere karam ki nawazishon se bataun kya mujhko mila hai
tere karam ki nawazishon se bataun kya mujhko mila hai
Fana Bulandshahri
MORE BYFana Bulandshahri
tere karam kī navāzishoñ se batā.ūñ kyā mujh ko milā hai
jhukā ke sar tere āstāñ par qasam ḳhudā kī ḳhudā milā hai
ye terī banda-navāziyāñ haiñ ke dard-e-dil kā pata milā hai
tujhe pukārā jahāñ bhī maiñ ne vahīñ mujhe aasrā milā hai
banā hai koī haram kā shaidā koī sar-e-but-kada chalā hai
mujhe hai naaz apnī bandagī par mujhe terā naqsh-e-pā milā hai
maiñ kaise chhoḌūñ terī galī ko terī galī merī zindagī hai
terī galī meñ to mere dilbar mujhe merā mudda'ā milā hai
faqīr tum ko rahe mubārak vo bādshāhoñ ke āstāne
jo mirī mushkil ko Taal degā mujhe vo mushkil-kushā milā hai
ye āstāñ un kā āstāñ hai yahāñ se hastī miTā ke uThnā
yahāñ pe bantī hai sab kī qismat yahīñ se har mudda'ā milā hai
'fanā' miTī zindagī kī uljhan qarīb aane lagī hai manzil
amān-e-rahbar kī rahbarī se mujhe nayā rāsta milā hai
tere karam ki nawazishon se bataun kya mujh ko mila hai
jhuka ke sar tere aastan par qasam KHuda ki KHuda mila hai
ye teri banda-nawaziyan hain ke dard-e-dil ka pata mila hai
tujhe pukara jahan bhi main ne wahin mujhe aasra mila hai
bana hai koi haram ka shaida koi sar-e-but-kada chala hai
mujhe hai naz apni bandagi par mujhe tera naqsh-e-pa mila hai
main kaise chhoDun teri gali ko teri gali meri zindagi hai
teri gali mein to mere dilbar mujhe mera mudda'a mila hai
faqir tum ko rahe mubarak wo baadshahon ke aastane
jo meri mushkil ko Tal dega mujhe wo mushkil-kusha mila hai
ye aastan un ka aastan hai yahan se hasti miTa ke uThna
yahan pe banti hai sab ki qismat yahin se har mudda'a mila hai
'fana' miTi zindagi ki uljhan qarib aane lagi hai manzil
aman-e-rahbar ki rahbari se mujhe naya rasta mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.