duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte
duniyā-e-tasavvur ham ābād nahīñ karte
yaad aate ho tum ḳhud hī ham yaad nahīñ karte
vo jaur-e-musalsal se baaz aa to ga.e lekin
bedād ye kyā kam hai bedād nahīñ karte
sāhil ke tamāshā.ī har Dūbne vaale par
afsos to karte haiñ imdād nahīñ karte
kuchh dard kī shiddat hai kuchh pās-e-mohabbat hai
ham aah to karte haiñ fariyād nahīñ karte
sahrā se bahāroñ ko le aa.e chaman vaale
aur apne gulistāñ ko ābād nahīñ karte
ham maslahatan apnā afsāna bhulā baiThe
kuchh yaad nahīñ aatā kuchh yaad nahīñ karte
āzād kiyā ḳhud ko zindāñ se asīroñ ne
zehnoñ ko ġhulāmī se āzād nahīñ karte
shāyad ki yahī aañsū kaam aa.eñ mohabbat meñ
ham apnī matā-e-ġham barbād nahīñ karte
duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte
yaad aate ho tum KHud hi hum yaad nahin karte
wo jaur-e-musalsal se baz aa to gae lekin
bedad ye kya kam hai bedad nahin karte
sahil ke tamashai har Dubne wale par
afsos to karte hain imdad nahin karte
kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai
hum aah to karte hain fariyaad nahin karte
sahra se bahaaron ko le aae chaman wale
aur apne gulistan ko aabaad nahin karte
hum maslahatan apna afsana bhula baiThe
kuchh yaad nahin aata kuchh yaad nahin karte
aazad kiya KHud ko zindan se asiron ne
zehnon ko ghulami se aazad nahin karte
shayad ki yahī aansu kaam aaen mohabbat mein
hum apni mata-e-gham barbaad nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.