koi samjhega kya raaz-e-gulshan
koī samjhegā kyā rāz-e-gulshan
jab tak uljhe na kāñToñ se dāman
qalb-e-parvāna kī uf re dhaḌkan
ḳhud-baḳhud ho ga.ī sham.a raushan
kaise paa.e koī terā maskan
raah roke haiñ shaiḳh-o-barhaman
azmat-e-āshiyāna baḌhā dī
barq ko dost samjhūñ ki dushman
yak-ba-yak sāmne aa na jaanā
ruk na jaaye kahīñ dil kī dhaḌkan
vo haiñ sharminda apne karam par
maiñ pashemāñ huuñ phailā ke dāman
itnī ārā.ish-e-āshiyāna
TuuT jaaye na shāḳh-e-nasheman
gul to gul ḳhaar tak chun liye haiñ
phir bhī ḳhālī hai gulchīñ kā dāman
kitnī bebāk haiñ ārzūeñ
ishq kā yaad aatā hai bachpan
in guloñ se to kāñTe hī achchhe
jin se hotī hai tauhīn-e-gulshan
ai 'fanā' husn par miT ke tū ne
kar diiyā ishq kā naam raushan
koi samjhega kya raaz-e-gulshan
jab tak uljhe na kanTon se daman
qalb-e-parwana ki uf re dhaDkan
KHud-baKHud ho gai shama raushan
kaise pae koi tera maskan
rah roke hain shaiKH-o-barhaman
azmat-e-ashiyana baDha di
barq ko dost samjhun ki dushman
yak-ba-yak samne aa na jaana
ruk na jaye kahin dil ki dhaDkan
wo hain sharminda apne karam par
main pasheman hun phaila ke daman
itni aaraish-e-ashiyana
TuT jaye na shaKH-e-nasheman
gul to gul KHar tak chun liye hain
phir bhi KHali hai gulchin ka daman
kitni bebak hain aarzuen
ishq ka yaad aata hai bachpan
in gulon se to kanTe hi achchhe
jin se hoti hai tauhin-e-gulshan
ai 'fanā' husn par miT ke tu ne
kar diya ishq ka nam raushan
- Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 67)
- Author : Fana Nizami
- Publication : Jigar Academy, Kanpur (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.