dil ishq mein hota hai mail-ba-fughan pahle
dil ishq meñ hotā hai mā.il-ba-fuġhāñ pahle
jab aag sulagtī hai uThtā hai dhuāñ pahle
iz.hār-e-tamannā se husn aur nikhar aayā
thī un kī adāoñ meñ ye baat kahāñ pahle
tanqīd-e-gulistāñ kā haq hai mire hoñToñ ko
maiñ ne hī qafas meñ bhī kholī thī zabāñ pahle
har zarf ke mai-kash haiñ har kaif kī sahbā hai
is vāste piitā hai ḳhud pīr-e-muġhāñ pahle
ham apne nasheman ke anjām se vāqif haiñ
yā barq-e-tapāñ āḳhir yā barq-e-tapāñ pahle
abrū pe bal aate hī hotī hai nazar barham
jab tiir nikaltā hai khiñchtī hai kamāñ pahle
dil ishq mein hota hai mail-ba-fughan pahle
jab aag sulagti hai uThta hai dhuan pahle
izhaar-e-tamanna se husn aur nikhar aaya
thi un ki adaon mein ye baat kahan pahle
tanqid-e-gulistan ka haq hai mere honTon ko
main ne hi qafas mein bhi kholi thi zaban pahle
har zarf ke mai-kash hain har kaif ki sahba hai
is waste pita hai KHud pir-e-mughan pahle
hum apne nasheman ke anjam se waqif hain
ya barq-e-tapan aaKHir ya barq-e-tapan pahle
abru pe bal aate hi hoti hai nazar barham
jab tir nikalta hai khinchti hai kaman pahle
- Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 73)
- Author : Fana Nizami
- Publication : Jigar Academy, Kanpur (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.