saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai
sāqiyā tū ne mire zarf ko samjhā kyā hai
zahr pī lūñgā tire haath se sahbā kyā hai
maiñ chalā aayā tirā husn-e-taġhāful le kar
ab tirī anjuman-e-nāz meñ rakhā kyā hai
na bagūle haiñ na kāñTe haiñ na dīvāna haiñ
ab to sahrā kā faqat naam hai sahrā kyā hai
ho ke māyūs-e-vafā tark-e-vafā to kar luuñ
lekin is tark-e-vafā kā bhī bharosa kyā hai
koī pāband-e-mohabbat hī batā saktā hai
ek dīvāne kā zanjīr se rishta kyā hai
sāqiyā kal ke liye maiñ to na rakkhūñgā sharāb
tere hote hue andesha-e-fardā kyā hai
merī tasvīr ġhazal hai koī ā.īna nahīñ
saiñkaḌoñ ruḳh haiñ abhī aap ne dekhā kyā hai
sāf-goī meñ to sunte haiñ 'fanā' hai mash.hūr
dekhnā ye hai tire muñh pe vo kahtā kyā hai
saqiya tu ne mere zarf ko samjha kya hai
zahr pi lunga tere hath se sahba kya hai
main chala aaya tera husn-e-taghaful le kar
ab teri anjuman-e-naz mein rakha kya hai
na bagule hain na kanTe hain na diwana hain
ab to sahra ka faqat nam hai sahra kya hai
ho ke mayus-e-wafa tark-e-wafa to kar lun
lekin is tark-e-wafa ka bhi bharosa kya hai
koi paband-e-mohabbat hi bata sakta hai
ek diwane ka zanjir se rishta kya hai
saqiya kal ke liye main to na rakkhunga sharab
tere hote hue andesha-e-farda kya hai
meri taswir ghazal hai koi aaina nahin
sainkaDon ruKH hain abhi aap ne dekha kya hai
saf-goi mein to sunte hain 'fana' hai mashhur
dekhna ye hai tere munh pe wo kahta kya hai
- Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 105)
- Author : Fana Nizami
- Publication : Jigar Academy, Kanpur (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.