ahl-e-dair-o-haram rah gae
ahl-e-dair-o-haram rah ga.e
tire dīvāne kam rah ga.e
manzileñ duur hotī ga.iiñ
fāsle kam se kam rah ga.e
be-takalluf vo auroñ se haiñ
naaz uThāne ko ham rah ga.e
jab bhī ḳhat likhne baiThe unheñ
sirf le kar qalam rah ga.e
dekh kar terī tasvīr ko
ā.īna ban ke ham rah ga.e
maiñ ne har shai sañvārī magar
un kī zulfoñ ke ḳham rah ga.e
ai 'fanā' terī taqdīr meñ
saarī duniyā ke ġham rah ga.e
ahl-e-dair-o-haram rah gae
tere diwane kam rah gae
manzilen dur hoti gain
fasle kam se kam rah gae
be-takalluf wo auron se hain
naz uThane ko hum rah gae
jab bhi KHat likhne baiThe unhen
sirf le kar qalam rah gae
dekh kar teri taswir ko
aaina ban ke hum rah gae
main ne har shai sanwari magar
un ki zulfon ke KHam rah gae
ai 'fana' teri taqdir mein
sari duniya ke gham rah gae
- Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 96)
- Author : Fana Nizami
- Publication : Jigar Academy, Kanpur (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.