ghar hua gulshan hua sahra hua
ghar huā gulshan huā sahrā huā
har jagah merā junūñ rusvā huā
ġhairat-e-ahl-e-chaman ko kyā huā
chhoḌ aa.e āshiyāñ jaltā huā
husn kā chehra bhī hai utrā huā
aaj apne ġham kā andāza huā
pursish-e-ġham aap rahne dījiye
ye tamāshā hai mirā dekhā huā
ye imārat to ibādat-gāh hai
is jagah ik mai-kada thā kyā huā
ġham se nāzuk zabt-e-ġham kī baat hai
ye bhī dariyā hai magar Thahrā huā
is tarah rahbar ne luuTā kārvāñ
ai 'fanā' rahzan ko bhī sadma huā
ghar hua gulshan hua sahra hua
har jagah mera junun ruswa hua
ghairat-e-ahl-e-chaman ko kya hua
chhoD aae aashiyan jalta hua
husn ka chehra bhi hai utra hua
aaj apne gham ka andaza hua
pursish-e-gham aap rahne dijiye
ye tamasha hai mera dekha hua
ye imarat to ibaadat-gah hai
is jagah ek mai-kada tha kya hua
gham se nazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariya hai magar Thahra hua
is tarah rahbar ne luTa karwan
ai 'fana' rahzan ko bhi sadma hua
- Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 96)
- Author : Fana Nizami
- Publication : Jigar Academy, Kanpur (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.