saqi teri mahfil mein hum jam uchhaalenge
saaqī tirī mahfil meñ ham jaam uchhāleñge
jab ka.aba meñ jā.eñge zamzam se nahā leñge
ham dasht-navardī kā kuchh aur maza leñge
manzil pe bhī talvoñ se kāñTe na nikāleñge
ham gulshan-e-fitrat se jiine kī adā leñge
shāḳhoñ se lachak leñge kāñToñ se anā leñge
duniyā ke har ik ġham se behtar hai ġham-e-jānāñ
sau sham.a bujhā kar ham ik sham.a jalā leñge
maiñ ishq kā afsāna kahte hue Dartā huuñ
ye ahl-e-havas merā mafhūm churā leñge
saqi teri mahfil mein hum jam uchhaalenge
jab kaba mein jaenge zamzam se naha lenge
hum dasht-nawardi ka kuchh aur maza lenge
manzil pe bhi talwon se kanTe na nikalenge
hum gulshan-e-fitrat se jine ki ada lenge
shaKHon se lachak lenge kanTon se ana lenge
duniya ke har ek gham se behtar hai gham-e-jaanan
sau shama bujha kar hum ek shama jala lenge
main ishq ka afsana kahte hue Darta hun
ye ahl-e-hawas mera mafhum chura lenge
- Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 95)
- Author : Fana Nizami
- Publication : Jigar Academy, Kanpur (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.