faqat qaziya yahī hai fann-e-tabī aur ilāhī meñ
faqat qaziya yahī hai fann-e-tabī aur ilāhī meñ
Meer Muhammad Bedar
MORE BYMeer Muhammad Bedar
faqat qaziya yahī hai fann-e-tab.ī aur ilāhī meñ
jo ilm-e-ma.arifat chāhe to rah yād-e-ilāhī meñ
samajhtā hai usī kā jalva-gah ġhaib-e-shahādat ko
nahīñ kuchh farq aarif ko safedī o siyāhī meñ
nahīñ ārām mujh ko iztirāb-e-dil se siine meñ
ki dariyā muztarib hotā hai betābī-e-māhī meñ
na kar mastoñ se kāvish har ghaḌī āmān kahtā huuñ
ḳhalal aa jā.egā zāhid tirī ismat-panāhī meñ
jagā kar ḳhvāb-e-āsā.ish se 'bedār' aah hastī meñ
adam-āsūdgāñ ko lā ke Daalā hai tabāhī meñ
jo kaifiyyat hai mastī se tirī āñkhoñ kī laalī meñ
nahīñ vo nashsha-e-rañgīñ sharāb-e-portugalī meñ
sar-o-barg-e-ḳhushī ai gul-badan tujh bin kahāñ mujh ko
gulistān-e-dil aayā fauj-e-ġham kī pā.emālī meñ
dur-e-dandāñ hue the maujzan kis bahr-e-ḳhūbī ke
ki motī sharm se paanī hue silk-e-la.ālī meñ
jahāñ vo shakkarīñ-lab guftugū meñ aave ai tuutī
suḳhan sarsabz terā kab ho vaañ shīrīñ-maqālī meñ
abas hai ārzū-e-ḳhush-dilī 'bedār' gardūñ se
mai-e-rāhat jo chāhe so kahāñ is jām-e-ḳhālī meñ
faqat qaziya yahī hai fann-e-tabī aur ilāhī meñ
jo ilm-e-marifat chāhe to rah yād-e-ilāhī meñ
samajhtā hai usī kā jalwa-gah ġhaib-e-shahādat ko
nahīñ kuchh farq aarif ko safedī o siyāhī meñ
nahīñ ārām mujh ko iztirāb-e-dil se sine meñ
ki dariyā muztarib hotā hai betābī-e-māhī meñ
na kar mastoñ se kāwish har ghaḌī āmān kahtā huñ
ḳhalal aa jāegā zāhid tirī ismat-panāhī meñ
jagā kar ḳhwāb-e-āsāish se 'bedār' aah hastī meñ
adam-āsūdgāñ ko lā ke Dalā hai tabāhī meñ
jo kaifiyyat hai mastī se tirī āñkhoñ kī lalī meñ
nahīñ wo nashsha-e-rañgīñ sharāb-e-portugalī meñ
sar-o-barg-e-ḳhushī ai gul-badan tujh bin kahāñ mujh ko
gulistān-e-dil aayā fauj-e-ġham kī pāemālī meñ
dur-e-dandāñ hue the maujzan kis bahr-e-ḳhūbī ke
ki motī sharm se panī hue silk-e-laālī meñ
jahāñ wo shakkarīñ-lab guftugū meñ aawe ai tutī
suḳhan sarsabz terā kab ho wañ shīrīñ-maqālī meñ
abas hai ārzū-e-ḳhush-dilī 'bedār' gardūñ se
mai-e-rāhat jo chāhe so kahāñ is jām-e-ḳhālī meñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.