nai hai bilkul nai hai saheb ye dastan jo suna raha hun
na.ī hai bilkul na.ī hai sāheb ye dāstāñ jo sunā rahā huuñ
abhī abhī hī banā huuñ banda pahle maiñ bhī ḳhudā rahā huuñ
zarā ye shams-o-qamar se kah do vo ab shuāoñ ko bhuul jaa.eñ
maiñ apne sahrā ke zarre-zarre ko ḳhud chamaknā sikhā rahā huuñ
vo faḳhr-e-ādam meñ ibn-e-ādam hai merī ġhairat kā ye taqāza
ilāhī mujh ko nahīñ zarūrat maiñ apnī jannat banā rahā huuñ
sarāpā ġham bhī ho kaif-o-mastī na jis meñ ho ye fareb-e-hastī
jo pāk-tar ho hirs-o-havas se maiñ aisī duniyā basā rahā huuñ
vo kaisī shab thī thā kaisā manzar kisī ko sote meñ aa jagāyā
isī adā se usī adab se maiñ zaḳhm apne jagā rahā huuñ
kabhī jo tanhā.ī de ijāzat to 'qādrī' ye payām denā
na riñd ghabrāo mai-kade meñ maiñ aa rahā huuñ maiñ aa rahā huuñ
nai hai bilkul nai hai saheb ye dastan jo suna raha hun
abhi abhi hi bana hun banda pahle main bhi KHuda raha hun
zara ye shams-o-qamar se kah do wo ab shuaon ko bhul jaen
main apne sahra ke zarre-zarre ko KHud chamakna sikha raha hun
wo faKHr-e-adam mein ibn-e-adam hai meri ghairat ka ye taqaza
ilahi mujh ko nahin zarurat main apni jannat bana raha hun
sarapa gham bhi ho kaif-o-masti na jis mein ho ye fareb-e-hasti
jo pak-tar ho hirs-o-hawas se main aisi duniya basa raha hun
wo kaisi shab thi tha kaisa manzar kisi ko sote mein aa jagaya
isi ada se usi adab se main zaKHm apne jaga raha hun
kabhi jo tanhai de ijazat to 'qadri' ye payam dena
na rind ghabrao mai-kade mein main aa raha hun main aa raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.