mazhab-e-ishq iKHtiyar kiya
maz.hab-e-'ishq iḳhtiyār kiyā
apne hāthoñ hī dil pe vaar kiyā
tum musalmāñ ho husn vaalo sabhī
ham haiñ kāfir jo tum se pyaar kiyā
ham taraste rahe karam ke liye
sitam chāhā to be-shumār kiyā
guru aa.e to kaj-adā.ī se
'umr bhar jin kā intizār kiyā
laakh bāteñ thiiñ par zabāñ na khulī
phir bhī apne ko sharmsār kiyā
yuuñ to ġhālib bhī the zamāne meñ
'mīr' ko apnā rāzdār kiyā
'qādrī' ham vafā ke bande haiñ
jān-o-dil un pe hī nisār kiyā
mazhab-e-'ishq iKHtiyar kiya
apne hathon hi dil pe war kiya
tum musalman ho husn walo sabhi
hum hain kafir jo tum se pyar kiya
hum taraste rahe karam ke liye
sitam chaha to be-shumar kiya
guru aae to kaj-adai se
'umr bhar jin ka intizar kiya
lakh baaten thin par zaban na khuli
phir bhi apne ko sharmsar kiya
yun to ghaalib bhi the zamane mein
'mir' ko apna raazdar kiya
'qadri' hum wafa ke bande hain
jaan-o-dil un pe hi nisar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.