bulbul ko hai tasawwur har lahza yar tera
bulbul ko hai tasavvur har lahza yaar terā
har gul meñ jalva-gar hai naqsh-o-nigār terā
hai sab zuhūr terā tū hī hai sab meñ zāhir
har chiiz se 'ayāñ hai husn-o-bahār terā
jidhar nazar paḌī hai tere sivā nahīñ hai
āñkhoñ meñ chhā rahā hai nūr-e-'izār terā
nairañgiyoñ ne tere kyā hairateñ dikhā.īñ
āñkhoñ meñ nasha terā sar meñ ḳhumār terā
sar meñ nahīñ rahā hai andesha-e-kHarābī
sar ḳhāk-e-rāh terā sīna-figār terā
us 'ishq kī badaulat hai 'fard' kī ye hālat
hāl-e-dardmand terī dil-e-be-qarār terā
bulbul ko hai tasawwur har lahza yar tera
har gul mein jalwa-gar hai naqsh-o-nigar tera
hai sab zuhur tera tu hi hai sab mein zahir
har chiz se 'ayan hai husn-o-bahaar tera
jidhar nazar paDi hai tere siwa nahin hai
aankhon mein chha raha hai nur-e-'izar tera
nairangiyon ne tere kya hairaten dikhain
aankhon mein nasha tera sar mein KHumar tera
sar mein nahin raha hai andesha-e-kHarabi
sar KHak-e-rah tera sina-figar tera
us 'ishq ki badaulat hai 'fard' ki ye haalat
haal-e-dardmand teri dil-e-be-qarar tera
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.