wade kiye bahut pe kis ko wafa nahin
va.ade kiye bahut pe kis ko vafā nahīñ
jis meñ ki thā gumān-e-vafā vo kiyā nahīñ
har baat meñ safā.ī dikhātā hai saaf jhuuT
aayā ġhubār-e-dil par to ab tak uThā nahīñ
dushnām talḳh dījiye par hañs ke dījiye
rūkhā suḳhan kiso kā to ham ne sunā nahīñ
ham ne sunā masīh se dardoñ kī hai davā
be-dard dil jo hove to us kī davā nahīñ
maiñ ne kahā ki qatl raqīboñ se mat karā
bolā ki apnā haath kiso par uThā nahīñ
wade kiye bahut pe kis ko wafa nahin
jis mein ki tha guman-e-wafa wo kiya nahin
har baat mein safai dikhata hai saf jhuT
aaya ghubar-e-dil par to ab tak uTha nahin
dushnam talKH dijiye par hans ke dijiye
rukha suKHan kiso ka to hum ne suna nahin
hum ne suna masih se dardon ki hai dawa
be-dard dil jo howe to us ki dawa nahin
main ne kaha ki qatl raqibon se mat kara
bola ki apna hath kiso par uTha nahin
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.