farishton ne mil kar uThai hai Doli
farishtoñ ne mil kar uThā.ī hai Dolī
alī sher-e-yazdāñ kī aa.ī hai Dolī
falak par sitāroñ ne ḳhurshīd-o-mah ne
baḌe shauq se ye sajā.ī hai Dolī
sah-e-kibriyā shah habīb-e-hasan kī
sar-e-arsh-e-haq ne banā.ī hai Dolī
suhāg arsh par hūreñ gaatī haiñ dekho
vo aa.ī alī kī vo aa.ī hai Dolī
chalo aao 'kāvish' ki kāñdhā lagā.eñ
alī kī ḳhudā ne uThā.ī hai Dolī
farishton ne mil kar uThai hai Doli
ali sher-e-yazdan ki aai hai Doli
falak par sitaron ne KHurshid-o-mah ne
baDe shauq se ye sajai hai Doli
sah-e-kibriya shah habib-e-hasan ki
sar-e-arsh-e-haq ne banai hai Doli
suhag arsh par huren gati hain dekho
wo aai ali ki wo aai hai Doli
chalo aao 'kawish' ki kandha lagaen
ali ki KHuda ne uThai hai Doli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.