saqi teri sharab mein ab wo asar nahin
saaqī terī sharāb meñ ab vo asar nahīñ
ham be-ḳhabar nahīñ haiñ tujhe ye ḳhabar nahīñ
sāġhar ba-rang-e-dīda-e-ahmar ho raqs meñ
ye kār-e-husn hai koī kār-e-hunar nahīñ
roz-e-azal se 'ishq ko jis kī rahī talāsh
vo husn bas vahīñ hai jahāñ par nazar nahīñ
so jā ki shab-gazīda ufuq par nazar na jaa.e
ai chashm-e-nīm-vā tirī ḳhātir sahar nahīñ
vo aable nahīñ ki charāġhāñ hoñ sañg-e-mīl
raahī nahīñ haiñ shauq nahīñ rahguzar nahīñ
poshīda zer-e-ātish-e-izhār hai jo ġham
ye dard dard-e-dil bhī nahīñ dard-e-sar nahīñ
shabnam lipaT ke barg-e-tamannā se ro paḌī
kahte hue hamāre liye ab sahar nahīñ
'maḳhfī' haiñ ramz mā'nī-e-harf-o-bayān ke
is majlis-e-sukHan meñ koī dīda-var nahīñ
saqi teri sharab mein ab wo asar nahin
hum be-KHabar nahin hain tujhe ye KHabar nahin
saghar ba-rang-e-dida-e-ahmar ho raqs mein
ye kar-e-husn hai koi kar-e-hunar nahin
roz-e-azal se 'ishq ko jis ki rahi talash
wo husn bas wahin hai jahan par nazar nahin
so ja ki shab-gazida ufuq par nazar na jae
ai chashm-e-nim-wa teri KHatir sahar nahin
wo aable nahin ki charaghan hon sang-e-mil
rahi nahin hain shauq nahin rahguzar nahin
poshida zer-e-atish-e-izhaar hai jo gham
ye dard dard-e-dil bhi nahin dard-e-sar nahin
shabnam lipaT ke barg-e-tamanna se ro paDi
kahte hue hamare liye ab sahar nahin
'maKHfi' hain ramz ma'ni-e-harf-o-bayan ke
is majlis-e-sukHan mein koi dida-war nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.