dil dhaDkanon ki zarb se mismar to nahin
dil dhaDkanon ki zarb se mismar to nahin
Fatima Hussaini Makhfi
MORE BYFatima Hussaini Makhfi
dil dhaḌkanoñ kī zarb se mismār to nahīñ
dīvār-e-kā'ba Dhahne ko tayār to nahīñ
baaqī rahī na tishna dahānī surūr kī
ye ehtimām-e-mahfil-e-aġhyār to nahīñ
bastī ujaaḌ dil kī hai hastī tabāh-kun
chāragaroñ ne kar diyā bīmār to nahīñ
sad-haif lutf-e-lams-e-salāsil na mil sakā
āzād dil-o-jāñ raheñ asrār to nahīñ
pāband kar rahī haiñ nigāhoñ kī Doriyāñ
dosh-e-brāhman pe ye zunnār to nahīñ
shāyad jigar ke zaḳhm se phāhā sarak gayā
yuuñ hī vo chashm-e-tar huī añgār to nahīñ
sahrā sarāb-e-dasht-e-junūñ ābla-ravī
ik mere naqsh-e-pā ke talab-gār to nahīñ
ḳhāmosh lab haiñ chashm-e-sadaf zulf shikva-gīr
'maḳhfī' ye un se 'ishq kā iz.hār to nahīñ
dil dhaDkanon ki zarb se mismar to nahin
diwar-e-ka'ba Dhahne ko tayar to nahin
baqi rahi na tishna dahani surur ki
ye ehtimam-e-mahfil-e-aghyar to nahin
basti ujaD dil ki hai hasti tabah-kun
chaaragaron ne kar diya bimar to nahin
sad-haif lutf-e-lams-e-salasil na mil saka
aazad dil-o-jaan rahen asrar to nahin
paband kar rahi hain nigahon ki Doriyan
dosh-e-brahman pe ye zunnar to nahin
shayad jigar ke zaKHm se phaha sarak gaya
yun hi wo chashm-e-tar hui angar to nahin
sahra sarab-e-dasht-e-junun aabla-rawi
ek mere naqsh-e-pa ke talab-gar to nahin
KHamosh lab hain chashm-e-sadaf zulf shikwa-gir
'maKHfi' ye un se 'ishq ka izhaar to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.