karata tha hashr nala dil-e-na-subur ka
karatā thā hashr naala dil-e-nā-subūr kā
shām-e-alam namūna thī sub.h-e-nushūr kā
jab se kiyā mushāhida us but ke nuur kā
'ālam hī mere dil meñ tajallī-e-tūr kā
har vaqt sāmnā hai but-e-pur-ġhurūr kā
hāfiz hai ab ḳhudā hī dil-e-nā-subūr kā
har dam guzar hai jalva hai hūr-e-qusūr kā
firdaus hai makān mere rashk-e-hūr kā
chāk-e-jigar kā mere karegī rafū vahī
go sozan-e-masīh se rishta hai duur kā
mā'shūq haiñ jo aap to phir rote haiñ kyuuñ
mā'shūq hī se kartī haiñ shikva ġhurūr kā
zāhid vo bāda-kash huuñ abhī mere vāste
o tire falak se jaam sharāb-e-tahūr kā
ai 'fauq' kyā batā.eñ jo kuchh chāhtā hai dil
jab dekh lete haiñ koī sāġhar 'ubūr kā
karata tha hashr nala dil-e-na-subur ka
sham-e-alam namuna thi subh-e-nushur ka
jab se kiya mushahida us but ke nur ka
'alam hi mere dil mein tajalli-e-tur ka
har waqt samna hai but-e-pur-ghurur ka
hafiz hai ab KHuda hi dil-e-na-subur ka
har dam guzar hai jalwa hai hur-e-qusur ka
firdaus hai makan mere rashk-e-hur ka
chaak-e-jigar ka mere karegi rafu wahi
go sozan-e-masih se rishta hai dur ka
ma'shuq hain jo aap to phir rote hain kyun
ma'shuq hi se karti hain shikwa ghurur ka
zahid wo baada-kash hun abhi mere waste
o tere falak se jam sharab-e-tahur ka
ai 'fauq' kya bataen jo kuchh chahta hai dil
jab dekh lete hain koi saghar 'ubur ka
- Book : Diwan-e-Fauq (Pg. 2)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.