jab un ko yaad kisi ka koi qusur aaya
jab un ko yaad kisī kā koī qusūr aayā
to sab se pahle mujhī par ġhazab zarūr aayā
visāl-e-yār se itrā na ai dil-e-nādāñ
mujhe ġhurūr na aayā tujhe ġhurūr aayā
ġhazab se bach ke kare ham se tuur par bijlī
pasand jalva-e-jānāñ ko sañg-e-tūr aayā
ḳhudā kī shaan pukāre unheñ ba-gīr-e-bahr-e-ġhair
javāb meñ vo kaheñ pyaar se huzūr aayā
ye dekhnā ki qayāmat par ik qayāmat thī
ḳhudā ke sāmne jis dam vo pur-ġhurūr aayā
shab-e-visāl thā vo lutf-e-dīd kī qābil
sharāb pī ke unheñ jis ghaḌī surūr aayā
nahīñ chale vo mere saath do qadam bhī abhī
ki mujhe pūchhe haiñ ab maiñ kitnī duur aayā
zahe nasīb ki vo mujh ko be-su'ūr kaheñ
ḳhudā kā shukr ki itnā inheñ su'ūr aayā
mazār ho 'fauq'-e-shab-e-vā'da vo jo aa.eñ
le ke ham kaheñ ye kaun rashk-e-sūr aayā
jab un ko yaad kisi ka koi qusur aaya
to sab se pahle mujhi par ghazab zarur aaya
visal-e-yar se itra na ai dil-e-nadan
mujhe ghurur na aaya tujhe ghurur aaya
ghazab se bach ke kare hum se tur par bijli
pasand jalwa-e-jaanan ko sang-e-tur aaya
KHuda ki shan pukare unhen ba-gir-e-bahr-e-ghair
jawab mein wo kahen pyar se huzur aaya
ye dekhna ki qayamat par ek qayamat thi
KHuda ke samne jis dam wo pur-ghurur aaya
shab-e-visal tha wo lutf-e-did ki qabil
sharab pi ke unhen jis ghaDi surur aaya
nahin chale wo mere sath do qadam bhi abhi
ki mujhe puchhe hain ab main kitni dur aaya
zahe nasib ki wo mujh ko be-su'ur kahen
KHuda ka shukr ki itna inhen su'ur aaya
mazar ho 'fauq'-e-shab-e-wa'da wo jo aaen
le ke hum kahen ye kaun rashk-e-sur aaya
- Book : Diwan-e-Fauq (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.