dagh wo dagh hai dil mein jo numayan na hua
daaġh vo daaġh hai dil meñ jo numāyāñ na huā
dard vo dard hai jis dard kā darmāñ na huā
na huā vasl kā taqdīr meñ sāmāñ na huā
ghar to ghar vo to kabhī dil meñ bhī mehmāñ na huā
hijr kī din meñ kamī vasl ke shab kī na huī
vasl kī raat meñ tūl-e-shab-e-hijrāñ na huā
dāman ġhair ko vo khīñch ke yuuñ chaak kareñ
rashk aatā hai ye merā hai garebāñ na huā
ḳhat kī badlī merī tasvīr hai le jā qāsid
haal vo kyā hai jo sūrat se numāyāñ na huā
'fauq' maiñ dard kā qaa.il ho rahā pahlū meñ
aur koī bhī sharīk-e-shab-e-hijrāñ na huā
kyā kahūñ haal meñ is dam ke pashemānī kā
us bazm meñ koī merā pursāñ na huā
dagh wo dagh hai dil mein jo numayan na hua
dard wo dard hai jis dard ka darman na hua
na hua wasl ka taqdir mein saman na hua
ghar to ghar wo to kabhi dil mein bhi mehman na hua
hijr ki din mein kami wasl ke shab ki na hui
wasl ki raat mein tul-e-shab-e-hijran na hua
daman ghair ko wo khinch ke yun chaak karen
rashk aata hai ye mera hai gareban na hua
KHat ki badli meri taswir hai le ja qasid
haal wo kya hai jo surat se numayan na hua
'fauq' main dard ka qail ho raha pahlu mein
aur koi bhi sharik-e-shab-e-hijran na hua
kya kahun haal mein is dam ke pashemani ka
us bazm mein koi mera pursan na hua
- Book : Diwan-e-Fauq (Pg. 7)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.