faza-e-gosha-e-dil mein tujhe jab jalwa-gar dekha
faza-e-gosha-e-dil mein tujhe jab jalwa-gar dekha
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
fazā-e-gosha-e-dil meñ tujhe jab jalva-gar dekhā
mirī nazroñ ne hairat se mujhī ko umr-bhar dekhā
tavaqqo.a se tire fazl-o-karam ko beshtar dekhā
mujhe sharm aa ga.ī jab apnā dāman muḳhtasar dekhā
rahā lab tishna-e-taskīñ mirā imkān-e-nazzāra
agarche dekhne kī tarh tujh ko umr-bhar dekhā
tasavvur kī hadoñ ko naaz thā jin kī tajallī par
nazar vāloñ ne un jalvoñ ko tā-hadd-e-nazar dekhā
sab apne dil meñ ik tīr-e-nazar mahsūs karte haiñ
magar koī batā saktā nahīñ us ne kidhar dekhā
tire sajdoñ se matlab thā makān-o-lā-makāñ kaisā
na ham ne rah-guzar dekhī na ham ne sañg-e-dar dekhā
nazar aatā na thā jo gird-e-afkār-o-havādis meñ
vo sāhil-āñkh ne tūfān-e-ġham meñ Duub kar dekhā
mazāq-e-ishq ko āzād-e-qaid-e-rañg-o-bū dekhā
junūñ ko be-niyāz-e-bandish-e-dīvār-o-dar dekhā
dil-e-yak-qatra-ḳhūñ us meñ soz-o-iztirāb itnā
zarā sī chiiz meñ hañgāma-e-barq-o-sharar dekhā
tumhāre sañg-e-dar ko sañg-e-dar ab kis tarah kah duuñ
ki jab sajda kiyā sar ko jabīn-e-arsh par dekhā
vo aa.e naza.a meñ tajdīd karne rasm-e-ulfat kī
baḌhā dī dāstāñ jab merā qissa muḳhtasar dekhā
ajab manzil thī ai 'sīmāb' apnī manzil-e-hastī
na dam lene kī fursat thī na yārā-e-safar dekhā
faza-e-gosha-e-dil mein tujhe jab jalwa-gar dekha
meri nazron ne hairat se mujhi ko umr-bhar dekha
tawaqqoa se tere fazl-o-karam ko beshtar dekha
mujhe sharm aa gai jab apna daman muKHtasar dekha
raha lab tishna-e-taskin mera imkan-e-nazzara
agarche dekhne ki tarh tujh ko umr-bhar dekha
tasawwur ki hadon ko naz tha jin ki tajalli par
nazar walon ne un jalwon ko ta-hadd-e-nazar dekha
sab apne dil mein ek tir-e-nazar mahsus karte hain
magar koi bata sakta nahin us ne kidhar dekha
tere sajdon se matlab tha makan-o-la-makan kaisa
na hum ne rah-guzar dekhi na hum ne sang-e-dar dekha
nazar aata na tha jo gird-e-afkar-o-hawadis mein
wo sahil-ankh ne tufan-e-gham mein Dub kar dekha
mazaq-e-ishq ko aazad-e-qaid-e-rang-o-bu dekha
junun ko be-niyaz-e-bandish-e-diwar-o-dar dekha
dil-e-yak-qatra-KHun us mein soz-o-iztirab itna
zara si chiz mein hangama-e-barq-o-sharar dekha
tumhaare sang-e-dar ko sang-e-dar ab kis tarah kah dun
ki jab sajda kiya sar ko jabin-e-arsh par dekha
wo aae naza mein tajdid karne rasm-e-ulfat ki
baDha di dastan jab mera qissa muKHtasar dekha
ajab manzil thi ai 'simab' apnī manzil-e-hasti
na dam lene ki fursat thi na yara-e-safar dekha
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 184)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.