hamare ghar mein aa kar yar aTka
hamāre ghar meñ aa kar yaar aTkā
raqīboñ kī nazar meñ ḳhaar aTkā
qalābāzī kare kyā mere aage
raqīb-e-rūsiya bachcha ye naT kā
ḳhajil ho kar rah gayā hai saaqī bhī
chalā aage mire us kā na laTkā
ye kūcha ishq kā mushkil hai aisā
ki zāhid aa ke is raste se bhaTkā
'fazīhat' piite hī zāhid ik jaam
amāma paañv par saaqī ke paTkā
hamare ghar mein aa kar yar aTka
raqibon ki nazar mein KHar aTka
qalabazi kare kya mere aage
raqib-e-rusiya bachcha ye naT ka
KHajil ho kar rah gaya hai saqi bhi
chala aage mere us ka na laTka
ye kucha ishq ka mushkil hai aisa
ki zahid aa ke is raste se bhaTka
'fazihat' pite hi zahid ek jam
amama panw par saqi ke paTka
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 36)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.