zamin ke dosh pe Thahre ki arsh par Thahre
zamīñ ke dosh pe Thahre ki 'arsh par Thahre
hazār jalvoñ meñ kis tarah ik nazar Thahre
ba-jabr dil ne biThāyā qarīb-e-dar Thahre
irāda pahle kuchh aur thā magar Thahre
tirī nigāh ke jalve na ho sake mahdūd
kuchh āsmāñ pe rahe kuchh zamīñ pe Thahre
ye dīdanī hai gulistāñ kī aatī jaatī bahār
vahī hai phuul ki jis par tirī nazar Thahre
usūl-e-'ishq pe qaa.em rahe nizām-e-vafā
jahāñ pe shaam thamī thī vahīñ sahar Thahre
dhaḌakte dil kā qalam rāz-e-āḳhirī likh de
zarā-sī der agar terā nāma-bar Thahre
na shart-e-sham’ hai koī na qaid-e-parvāna
vahī hai dil jo mohabbat kī aañch par Thahre
chamak chamak ke mire āñsuoñ se Takrā kar
sitāre sub.h kī hasrat meñ raat bhar Thahre
na 'fazl' ġham meñ sukūñ hai na hai ḳhushī meñ qarār
batā duuñ rāz-e-mohabbat ye dil agar Thahre
zamin ke dosh pe Thahre ki 'arsh par Thahre
hazar jalwon mein kis tarah ek nazar Thahre
ba-jabr dil ne biThaya qarib-e-dar Thahre
irada pahle kuchh aur tha magar Thahre
teri nigah ke jalwe na ho sake mahdud
kuchh aasman pe rahe kuchh zamin pe Thahre
ye didani hai gulistan ki aatī jati bahaar
wahi hai phul ki jis par teri nazar Thahre
usul-e-'ishq pe qaem rahe nizam-e-wafa
jahan pe sham thami thi wahin sahar Thahre
dhaDakte dil ka qalam raaz-e-aKHiri likh de
zara-si der agar tera nama-bar Thahre
na shart-e-sham’ hai koi na qaid-e-parwana
wahi hai dil jo mohabbat ki aanch par Thahre
chamak chamak ke mere aansuon se Takra kar
sitare subh ki hasrat mein raat bhar Thahre
na 'fazl' gham mein sukun hai na hai KHushi mein qarar
bata dun raaz-e-mohabbat ye dil agar Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.