tera husn hi jalwa-gar dekhti hai
tirā husn hī jalva-gar dekhtī hai
ye chashm-e-mohabbat jidhar dekhtī hai
ye kyā DhūñDhtī hai kidhar dekhtī hai
kise un kī nīchī nazar dekhtī hai
jo jaltī hai bikhre hue āñsuoñ meñ
vahī sham.a rañg-e-sahar dekhtī hai
qafas har taraf se añdherā kiye hai
nasheman ko phir bhī nazar dekhtī hai
charāġhāñ nazar aatā hai āñsuoñ meñ
mohabbat kī duniyā jidhar dekhtī hai
mire āshiyāne kī ho ḳhair yā rab
ye bijlī na jaane kidhar dekhtī hai
sitāroñ kī ghaTtī huī raushnī meñ
ye duniyā mujhe be-ḳhabar dekhtī hai
jhapaktī to hai aañkh sūraj ke aage
shu’āoñ kī tezī magar dekhtī hai
dil-e-muztarib se jo ai 'fazl' nikle
vahī āh-e-pur-ġham asar dekhtī hai
tera husn hi jalwa-gar dekhti hai
ye chashm-e-mohabbat jidhar dekhti hai
ye kya DhunDhti hai kidhar dekhti hai
kise un ki nichi nazar dekhti hai
jo jalti hai bikhre hue aansuon mein
wahi shama rang-e-sahar dekhti hai
qafas har taraf se andhera kiye hai
nasheman ko phir bhi nazar dekhti hai
charaghan nazar aata hai aansuon mein
mohabbat ki duniya jidhar dekhti hai
mere aashiyane ki ho KHair ya rab
ye bijli na jaane kidhar dekhti hai
sitaron ki ghaTti hui raushni mein
ye duniya mujhe be-KHabar dekhti hai
jhapakti to hai aankh suraj ke aage
shu’aon ki tezi magar dekhti hai
dil-e-muztarib se jo ai 'fazl' nikle
wahi aah-e-pur-gham asar dekhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.