jab ishq hadon se baDhta hai kya dard ki raaten hoti hain
jab 'ishq hadoñ se baḌhtā hai kyā dard kī rāteñ hotī haiñ
saa.e se ishāre hote haiñ parchhā.īñ se bāteñ hotī haiñ
rone meñ hañsī aa jaatī hai hañsne meñ nikalte haiñ aañsū
ye ulTī sīdhī duniyā hai yaañ aisī hī bāteñ hotī haiñ
furqat kī añdherī rātoñ meñ jab dard se dil Takrātā hai
be-nūr sitāre hote haiñ be-rūh hayāteñ hotī haiñ
ye raaz na samjhegā koī tū ḳhud hī batā de duniyā ko
chup rahne vaale parvāne kyā sham.a se bāteñ hotī haiñ
ai 'fazl' vo dil kyā patthar hai jis meñ na khaTak ho ulfat kī
ham ko bhī koī yaad aatā hai jab chāñdnī rāteñ hotī haiñ
jab 'ishq hadon se baDhta hai kya dard ki raaten hoti hain
sae se ishaare hote hain parchhain se baaten hoti hain
rone mein hansi aa jati hai hansne mein nikalte hain aansu
ye ulTi sidhi duniya hai yan aisi hi baaten hoti hain
furqat ki andheri raaton mein jab dard se dil Takraata hai
be-nur sitare hote hain be-ruh hayaten hoti hain
ye raaz na samjhega koi tu KHud hi bata de duniya ko
chup rahne wale parwane kya shama se baaten hoti hain
ai 'fazl' wo dil kya patthar hai jis mein na khaTak ho ulfat ki
hum ko bhi koi yaad aata hai jab chandni raaten hoti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.