dil to mera asir hai chheDega kaun saz-e-ishq
dil to mirā asiir hai chheḌegā kaun sāz-e-'ishq
jitnā chhupegā rāz-e-husn utnā khulegā rāz-e-’ishq
kaisī ye bad-havāsiyāñ kaisā ye sāz-o-bāz-e-'ishq
sajda-e-husn kar liyā bhuul gayā namāz-e-'ishq
tuur ho yā ḳhayāl-e-dīd kā'ba ho yā sanam-kada
husn kī bijliyoñ meñ hai silsila-e-darāz-e-'ishq
āñkhoñ meñ ashk dil meñ dard merī ’ibādateñ to dekh
terā ḳhayāl dil meñ hai paḌhtā huuñ yuuñ namāz-e-'ishq
chāñdnī-e-shab thamī havā khiltī kalī mahakte gun
'fazl' se kis ne kah diyā kaan meñ jhuk ke rāz-e-'ishq
dil to mera asir hai chheDega kaun saz-e-'ishq
jitna chhupega raaz-e-husn utna khulega raaz-e-’ishq
kaisi ye bad-hawasiyan kaisa ye saz-o-baz-e-'ishq
sajda-e-husn kar liya bhul gaya namaz-e-'ishq
tur ho ya KHayal-e-did ka'ba ho ya sanam-kada
husn ki bijliyon mein hai silsila-e-daraaz-e-'ishq
aankhon mein ashk dil mein dard meri ’ibaadaten to dekh
tera KHayal dil mein hai paDhta hun yun namaz-e-'ishq
chandni-e-shab thami hawa khilti kali mahakte gun
'fazl' se kis ne kah diya kan mein jhuk ke raaz-e-'ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.