baDha hai zauq-e-sajda ek kashish si pai jati hai
baḌhā hai zauq-e-sajda ik kashish sī paa.ī jaatī hai
jabīñ khīñch kar tumhāre āstāñ tak aa.ī jaatī hai
qiyāmat kī nazar hai chāñd se Takrā.ī jaatī hai
jhukā lo apnī āñkheñ chāñdnī sharmā.ī jaatī hai
ye kis ne kahte-kahte rok dī hai dāstāñ apnī
zamīñ se āsmāñ tak ik udāsī chhā.ī jaatī hai
na dil meñ ḳhuun baaqī hai na ab āñkhoñ meñ aañsū haiñ
magar ab tak mire dāman pe surḳhī paa.ī jaatī hai
junūñ kī intihā ko jab zamāna jāñch letā hai
hamīñ se phir hamārī dāstāñ dohrā.ī jaatī hai
yahī rañg-e-zamāna aur yahī nazm-e-gulistāñ hai
chaTaktī hai kalī koī koī murjhā.ī jaatī hai
udhar tāḳhīr sī hotī hai daur-e-jām chalne meñ
idhar añgḌā.ī par añgḌā.ī saaqī aa.ī jaatī hai
nazar se duur hai sāhil talātum-ḳhez maujeñ haiñ
sambhāl ai nā-ḳhudā kashtī-e-dil Takrā.ī jaatī hai
zamāna ho chukā chhoḌe hue ai 'fazl' ulfat ko
magar ab tak rag-e-dil meñ khaTak sī paa.ī jaatī hai
baDha hai zauq-e-sajda ek kashish si pai jati hai
jabin khinch kar tumhaare aastan tak aai jati hai
qiyamat ki nazar hai chand se Takrai jati hai
jhuka lo apni aankhen chandni sharmai jati hai
ye kis ne kahte-kahte rok di hai dastan apni
zamin se aasman tak ek udasi chhai jati hai
na dil mein KHun baqi hai na ab aankhon mein aansu hain
magar ab tak mere daman pe surKHi pai jati hai
junun ki intiha ko jab zamana jaanch leta hai
hamin se phir hamari dastan dohrai jati hai
yahi rang-e-zamana aur yahi nazm-e-gulistan hai
chaTakti hai kali koi koi murjhai jati hai
udhar taKHir si hoti hai daur-e-jam chalne mein
idhar angDai par angDai saqi aai jati hai
nazar se dur hai sahil talatum-KHez maujen hain
sambhaal ai na-KHuda kashti-e-dil Takrai jati hai
zamana ho chuka chhoDe hue ai 'fazl' ulfat ko
magar ab tak rag-e-dil mein khaTak si pai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.