har ek saghar se soz-e-mai ayan malum hota hai
har ik sāġhar se soz-e-mai 'ayāñ mā'lūm hotā hai
surāhī jab uThātā huuñ dhuāñ mā'lūm hotā hai
ḳhushī kā tazkira bhī ab garāñ mā'lūm hotā hai
ġham-e-hastī hayāt-e-jāvidāñ mā'lūm hotā hai
tasavvur meñ qafas se raushnī ke DhūñDne vaale
gulābī gul charāġh-e-āshiyāñ mā'lūm hotā hai
bulandī sar jhukātī hai agar ho jazb pastī meñ
zamīn-e-dil pe 'aks-e-āsmāñ mā'lūm hotā hai
ḳhamoshī bhī chaman kī tarjumānī kartī rahtī hai
zabān-e-gul pe husn-e-dāstāñ ma.alūm hotā hai
chaman meñ rah ke jis gun ne mizāj-e-bāġhbāñ badlā
vahī duniyā kī nazroñ meñ garāñ mā'lūm hotā hai
jabīn-e-'fazl' jhuktī hai to anvār-e-haqīqat meñ
jo sajda hai vo rūh-e-āstāñ mā'lūm hotā hai
har ek saghar se soz-e-mai 'ayan ma'lum hota hai
surahi jab uThata hun dhuan ma'lum hota hai
KHushi ka tazkira bhi ab garan ma'lum hota hai
gham-e-hasti hayat-e-jawidan ma'lum hota hai
tasawwur mein qafas se raushni ke DhunDne wale
gulabi gul charagh-e-ashiyan ma'lum hota hai
bulandi sar jhukati hai agar ho jazb pasti mein
zamin-e-dil pe 'aks-e-asman ma'lum hota hai
KHamoshi bhi chaman ki tarjumani karti rahti hai
zaban-e-gul pe husn-e-dastan malum hota hai
chaman mein rah ke jis gun ne mizaj-e-baghban badla
wahi duniya ki nazron mein garan ma'lum hota hai
jabin-e-'fazl' jhukti hai to anwar-e-haqiqat mein
jo sajda hai wo ruh-e-astan ma'lum hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.