taron mein husn-e-gul mein latafat nahin rahi
tāroñ meñ husn-e-gul meñ latāfat nahīñ rahī
tum kyā ga.e chaman meñ mohabbat nahīñ rahī
uThā jo dard sham.a kī lau kāñpne lagī
parvāna jāntā thā ki hiddat nahīñ rahī
vo bhī zamīn hī ke muqaddar ko sauñp dī
gardish kī āsmān meñ tāqat nahīñ rahī
gahre gunāh shāmil-e-aḳhlāq ho ga.e
achchhā huā ki fikr-e-qiyāmat nahīñ rahī
badlī nigāh-e-husn to badlā mizāj-e-'ishq
donoñ samajh ga.e ki mohabbat nahīñ rahī
ab āñsuoñ meñ kyā kahūñ afsāna-e-hayāt
dāman meñ jazb karne kī quvvat nahīñ rahī
jis ko tasavvurāt-e-haqīqat se rabt thā
ab vo bhī raushnī shab-e-furqat nahīñ rahī
ab bhī ragoñ meñ dauḌtā phirtā hai soz-e-'ishq
kyuuñ kar kahūñ ki dil meñ mohabbat nahīñ rahī
ai 'fazl' hai vo rāh-e-mohabbat kā ik charāġh
jis dil meñ ḳhuun rah gayā hasrat nahīñ rahī
taron mein husn-e-gul mein latafat nahin rahi
tum kya gae chaman mein mohabbat nahin rahi
uTha jo dard shama ki lau kanpne lagi
parwana jaanta tha ki hiddat nahin rahi
wo bhi zamin hi ke muqaddar ko saunp di
gardish ki aasman mein taqat nahin rahi
gahre gunah shamil-e-aKHlaq ho gae
achchha hua ki fikr-e-qiyamat nahin rahi
badli nigah-e-husn to badla mizaj-e-'ishq
donon samajh gae ki mohabbat nahin rahi
ab aansuon mein kya kahun afsana-e-hayat
daman mein jazb karne ki quwwat nahin rahi
jis ko tasawwuraat-e-haqiqat se rabt tha
ab wo bhi raushni shab-e-furqat nahin rahi
ab bhi ragon mein dauDta phirta hai soz-e-'ishq
kyun kar kahun ki dil mein mohabbat nahin rahi
ai 'fazl' hai wo rah-e-mohabbat ka ek charagh
jis dil mein KHun rah gaya hasrat nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.