subh se pahle hi ho jati hai sham-e-zindagi
sub.h se pahle hī ho jaatī hai shām-e-zindagī
be-talab ke bhī chhalak jaatā hai jām-e-zindagī
husn kī 'azmat se miltā hai payām-e-zindagī
bikhrī zulfoñ se ulajh jaatī hai shām-e-zindagī
manzileñ miltī rahīñ lekin na Thahrā rāh-rau
tere hī dar par nazar aayā maqām-e-zindagī
har nafs ko hai taġhayyur har taġhayyur ko fanā
maut yaad aane lagī aayā jo nām-e-zindagī
rishta-e-hastī ko toḌā rabt-o-zabt 'ishq ne
maut bhī sharmā ga.ī sun kar salām-e-zindagī
rafta-rafta bujhe jaate haiñ tasavvur ke charāġh
muntashir hone ko hai shāyad nizām-e-zindagī
āñsuoñ kī aab se kar lī murattab dāstāñ
merī ḳhāmoshī ko jo samjhe kalām-e-zindagī
ban na jaa.eñ dil kī dhaḌkan terī lo kī juñbisheñ
ai charāġh-e-sub.h ho jaa.e na shām-e-zindagī
har qadam par dekhne ke baad hastī kā mizāj
phir bhī kab samjhā koī tarz-e-ḳhirām-e-zindagī
kuchh añdhere se simaT aate haiñ nazroñ ke qarīb
'fazl' ke lab par agar aatā hai nām-e-zindagī
subh se pahle hi ho jati hai sham-e-zindagi
be-talab ke bhi chhalak jata hai jam-e-zindagi
husn ki 'azmat se milta hai payam-e-zindagi
bikhri zulfon se ulajh jati hai sham-e-zindagi
manzilen milti rahin lekin na Thahra rah-rau
tere hi dar par nazar aaya maqam-e-zindagi
har nafs ko hai taghayyur har taghayyur ko fana
maut yaad aane lagi aaya jo nam-e-zindagi
rishta-e-hasti ko toDa rabt-o-zabt 'ishq ne
maut bhi sharma gai sun kar salam-e-zindagi
rafta-rafta bujhe jate hain tasawwur ke charagh
muntashir hone ko hai shayad nizam-e-zindagi
aansuon ki aab se kar li murattab dastan
meri KHamoshi ko jo samjhe kalam-e-zindagi
ban na jaen dil ki dhaDkan teri lo ki junbishen
ai charagh-e-subh ho jae na sham-e-zindagi
har qadam par dekhne ke baad hasti ka mizaj
phir bhi kab samjha koi tarz-e-KHiram-e-zindagi
kuchh andhere se simaT aate hain nazron ke qarib
'fazl' ke lab par agar aata hai nam-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.