daftar khule jo ishq ke roz-e-hisab mein
daftar khule jo 'ishq ke roz-e-hisāb meñ
majnūñ ke pahle banda hī aave hisāb meñ
ye shoḳh bū kahāñ se use haath aa lagī
qatra tire ’araq kā paḌā hai gulāb meñ
zāhir hai be-hijāb vo kashshams-vazzuhā
apnī ḳhudī se ham phire haiñ hijāb meñ
sīmāb bhī na hove kabhū aisā be-qarār
dil hijr se hai jaisā mirā iztirāb meñ
majnūñ kā maiñ ḳhalīfa huuñ ai 'fazl' 'ishq meñ
lailā hamesha mujh ko nazar aave ḳhvāb meñ
daftar khule jo 'ishq ke roz-e-hisab mein
majnun ke pahle banda hi aawe hisab mein
ye shoKH bu kahan se use hath aa lagi
qatra tere ’araq ka paDa hai gulab mein
zahir hai be-hijab wo kashshams-wazzuha
apni KHudi se hum phire hain hijab mein
simab bhi na howe kabhu aisa be-qarar
dil hijr se hai jaisa mera iztirab mein
majnun ka main KHalifa hun ai 'fazl' 'ishq mein
laila hamesha mujh ko nazar aawe KHwab mein
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 18)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.