na KHwahan taj-e-KHusraw ka na main taKHt-e-sikandar ka

na KHwahan taj-e-KHusraw ka na main taKHt-e-sikandar ka
Fazlur Rahman Maah
MORE BYFazlur Rahman Maah
na ḳhvāhāñ tāj-e-ḳhusrav kā na maiñ taḳht-e-sikandar kā
muqaddar us jagah le chal bhikārī huuñ maiñ jis dar kā
na sair-e-bāġh ko hai dil hai na dīd-e-gul kī ḳhvāhish hai
mirī āñkhoñ meñ naqsha phir rahā hai ik gul-e-tar kā
adā.eñ laakh dikhlā.e agar laala to kyā matlab
mujhe allāh ne maftūñ kiyā lab-hā-e-ahmar kā
tamāshā-e-mah-o-kHurshīd se kyā ḳhaak sairī ho
mirī āñkhoñ meñ jalva hai kisī ke rū-e-anvar kā
'faqīr'-e-qādirī ke āstāne kā bhikārī kā
nahīñ rutba mirī nazroñ meñ kuchh maġhfūr-o-qaisar kā
ye ḳhvāhish hai ki un ke āstāñ kī ḳhaak mil jaa.e
na maiñ iksīr kā tālib na ḳhvāhāñ daulat-o-zar kā
rasūlullāh ke 'āshiq the aur allāh ke tālib
dil-e-āshufta abū-bakr-o-'omer 'usmān-o-haidar kā
na KHwahan taj-e-KHusraw ka na main taKHt-e-sikandar ka
muqaddar us jagah le chal bhikari hun main jis dar ka
na sair-e-bagh ko hai dil hai na did-e-gul ki KHwahish hai
meri aankhon mein naqsha phir raha hai ek gul-e-tar ka
adaen lakh dikhlae agar lala to kya matlab
mujhe allah ne maftun kiya lab-ha-e-ahmar ka
tamasha-e-mah-o-kHurshid se kya KHak sairi ho
meri aankhon mein jalwa hai kisi ke ru-e-anwar ka
'faqir'-e-qadiri ke aastane ka bhikari ka
nahin rutba meri nazron mein kuchh maghfur-o-qaisar ka
ye KHwahish hai ki un ke aastan ki KHak mil jae
na main iksir ka talib na KHwahan daulat-o-zar ka
rasulullah ke 'ashiq the aur allah ke talib
dil-e-ashufta abu-bakr-o-'omer 'usman-o-haidar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.