fikr isko na kar jalwa-gah-e-naz kahan hai
fikr is kī na kar jalva-gāh-e-nāz kahāñ hai
ye dekh ab koī nazar-bāz kahāñ hai
juz shāhid-e-fitrat koī dam-sāz kahāñ hai
maiñ raaz huuñ us kā mirā hamrāz kahāñ hai
kyuuñ ai dil-e-muztar hue kyā vo tire naale
ai sāz-e-shikasta tirī āvāz kahāñ hai
ab apne tasavvur meñ uḌā phirtā hai gulshan
taqdīr-e-asīrī par parvāz kahāñ hai
kaunain kā hāsil liye phirte haiñ farishte
yārab ye bahā-e-dil-e-be-āz kahāñ hai
hamle se tire pahle thā pahlū meñ dil aur ab
ye kaun batā.e nigah-e-nāz kahāñ hai
ḳhud-sāzī meñ masrūf-e-ḳhudā.ī hai 'sulaimāñ'
duniyā meñ koī mard-e-ḳhudā-sāz kahāñ hai
fikr is ki na kar jalwa-gah-e-naz kahan hai
ye dekh ab koi nazar-baz kahan hai
juz shahid-e-fitrat koi dam-saz kahan hai
main raaz hun us ka mera hamraaz kahan hai
kyun ai dil-e-muztar hue kya wo tere nale
ai saz-e-shikasta teri aawaz kahan hai
ab apne tasawwur mein uDa phirta hai gulshan
taqdir-e-asiri par parwaz kahan hai
kaunain ka hasil liye phirte hain farishte
yarab ye baha-e-dil-e-be-az kahan hai
hamle se tere pahle tha pahlu mein dil aur ab
ye kaun batae nigah-e-naz kahan hai
KHud-sazi mein masruf-e-KHudai hai 'sulaiman'
duniya mein koi mard-e-KHuda-saz kahan hai
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 234)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.