gajab Dha gayo tore nainan murari
gajab Dhā gayo tore naināñ murārī
maiñ kho apnī sudh-budh dil-o-jān haarī
sakhī kyā kahūñ more murshid piyā ne
dharam-dīn luuTā najariyā vo maarī
pavan jaake murshid piyā se ye kahnā
rahat more man meñ sūratiyāñ tihārī
batā.ūñ tujhe kyā tū jānat hai sab kuchh
maiñ taj kar jahāñ ko ga.ī to pe vaarī
tire pyaar meñ chhoḌā bhagvān maiñ ne
tirā naam japtī hai daasī tihārī
alī to-ko jānūñ ḳhudā to-ko jānūñ
maiñ rakhtī huuñ jag se tabī.at niyārī
luTā kar mohabbat meñ dīn-o-dharam ko
banā hai ye 'kāvish' tumhārā pujārī
gajab Dha gayo tore nainan murari
main kho apni sudh-budh dil-o-jaan haari
sakhi kya kahun more murshid piya ne
dharam-din luTa najariya wo mari
pawan jake murshid piya se ye kahna
rahat more man mein suratiyan tihaari
bataun tujhe kya tu jaanat hai sab kuchh
main taj kar jahan ko gai to pe wari
tere pyar mein chhoDa bhagwan main ne
tera nam japti hai dasi tihaari
ali to-ko jaanun KHuda to-ko jaanun
main rakhti hun jag se tabiat niyari
luTa kar mohabbat mein din-o-dharam ko
bana hai ye 'kawish' tumhaara pujari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.