gham-e-judai ko hum jaanen ya KHuda jaane
gham-e-judai ko hum jaanen ya KHuda jaane
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ġham-e-judā.ī ko ham jāneñ yā ḳhudā jaane
balā-kashoñ pe jo guzrī tirī balā jaane
marīz-e-ishq kā darmāñ abas kare hai tū
davā hamārī arastū bhalā tū kyā jaane
sabā agarche shagufta kare hazāroñ gul
is ek ġhuncha-e-dil ko vo kab khulā jaane
uThā rahī hai jafā terī apne dar se mujhe
maiñ uTh to jā۔ūñ agar ve mirī vafā jaane
paḌā ho jis ko sarokār ishq se aakar
vo jiite jī miyāñ paane ta.iiñ moh jaane
kisī ne āñkhoñ se dekhā hai bin habāb koī
ki apnā aap palak mārte miTā jaane
'niyāz' manzil-e-maqsūd ko vahī pahuñche
jo koī shāh-e-najaf apnā rahnumā jaane
gham-e-judai ko hum jaanen ya KHuda jaane
bala-kashon pe jo guzri teri bala jaane
mariz-e-ishq ka darman abas kare hai tu
dawa hamari arastu bhala tu kya jaane
saba agarche shagufta kare hazaron gul
is ek ghuncha-e-dil ko wo kab khula jaane
uTha rahi hai jafa teri apne dar se mujhe
main uTh to ja۔un agar we meri wafa jaane
paDa ho jis ko sarokar ishq se aakar
wo jite ji miyan pane tain moh jaane
kisi ne aankhon se dekha hai bin habab koi
ki apna aap palak marte miTa jaane
'niyaz' manzil-e-maqsud ko wahi pahunche
jo koi shah-e-najaf apna rahnuma jaane
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 304)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.