gar kaun-o-makan mazhar-e-nairang na hota
gar kaun-o-makan mazhar-e-nairang na hota
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
gar kaun-o-makāñ maz.har-e-nairañg na hotā
har aan meñ us kā ye nayā Dhañg na hotā
hotā na agar us ke tamāshe meñ tahayyur
hairat se maiñ ā.īna-e-namat-e-dañg na hotā
gar shaan payambar kī abu-jehl pe khultī
islām ke laane meñ use nañg na hotā
asrār-e-haqīqat ke ḳharīdār jo hote
haftād-o-do-millat meñ kabhī jañg na hotā
imkān se bāhar hai tere kumba kā paaya
varna dil-e-āgāh merā tañg na hotā
gar pardae--ġhaflat ko tū ham se na uThātā
ai ishq-e-'niyāz' aage tere sañg na hotā
gar kaun-o-makan mazhar-e-nairang na hota
har aan mein us ka ye naya Dhang na hota
hota na agar us ke tamashe mein tahayyur
hairat se main aaina-e-namat-e-dang na hota
gar shan payambar ki abu-jehl pe khulti
islam ke lane mein use nang na hota
asrar-e-haqiqat ke KHaridar jo hote
haftad-o-do-millat mein kabhi jang na hota
imkan se bahar hai tere kumba ka paya
warna dil-e-agah mera tang na hota
gar pardae--ghaflat ko tu hum se na uThata
ai ishq-e-'niyaz' aage tere sang na hota
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.