pas-e-murdan irāda dil meñ thā jo kū-e-qātil kā
lahad meñ ḳhush huā maiñ naam sun kar pahlī manzil kā
gubār-e-dahshate-e-majnūñ ko yahī lailā se mohabbat thī
bagūlā jo uThā us ne na chhoḌā saath mahmil kā
zamīn-e-'ishq meñ ham dānā-hā-e-ashk bote haiñ
ba-juz lā-hāsilī ḳhirman nahīñ kuchh apne hāsil kā
chhuḌāyā ek hī talvār meñ zindān-e-hastī se
dahān-e-zaḳhm se vājib hai mujh ko shukr qātil kā
'azīz us se na kījai gar vo māñge jān-e-shīrīñ bhī
javāb-e-talḳh se dil toḌiye hargiz na saa.el kā
tanazzul kā sabab hai ye kamāl-e-husn hai terā
ki lāzim aa paḌā hai roz ghaTnā māh-e-kāmil kā
nahīñ hotā hai kār-e-basta vā apnoñ se duniyā meñ
kahāñ nāḳhun ne uqda aaj tak kholā anāmil kā
jise ḳhurshīd-e-mahshar zāhidān-e-ḳhushk kahte haiñ
sipand-e-sokHta hai sho.ala ruḳhsāroñ kī mahfil kā
pas-e-murdan yaqīñ hai us se bhī bū-e-vafā aa.e
koī 'attār-e-‘ġhāfil’ ’itr khīñche gar mirī gil kā
pas-e-murdan irada dil mein tha jo ku-e-qatil ka
lahad mein KHush hua main nam sun kar pahli manzil ka
gubar-e-dahshate-e-majnun ko yahi laila se mohabbat thi
bagula jo uTha us ne na chhoDa sath mahmil ka
zamin-e-'ishq mein hum dana-ha-e-ashk bote hain
ba-juz la-hasili KHirman nahin kuchh apne hasil ka
chhuDaya ek hi talwar mein zindan-e-hasti se
dahan-e-zaKHm se wajib hai mujh ko shukr qatil ka
'aziz us se na kijai gar wo mange jaan-e-shirin bhi
jawab-e-talKH se dil toDiye hargiz na sael ka
tanazzul ka sabab hai ye kamal-e-husn hai tera
ki lazim aa paDa hai roz ghaTna mah-e-kaamil ka
nahin hota hai kar-e-basta wa apnon se duniya mein
kahan naKHun ne uqda aaj tak khola anamil ka
jise KHurshid-e-mahshar zahidan-e-KHushk kahte hain
sipand-e-sokHta hai shoala ruKHsaron ki mahfil ka
pas-e-murdan yaqin hai us se bhi bu-e-wafa aae
koi 'attar-e-‘ghafil’ ’itr khinche gar meri gil ka
Source :
- Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.