socha kabhi na ishq mein kuchh pyar ke siwa
Interesting Fact
(ماہنامہ درگا، لکھنؤ۔ اکتوبر ۱۹۶۳ء)
sochā kabhī na ishq meñ kuchh pyaar ke sivā
hasrat koī na kī tere dīdār ke sivā
aa.e kabhī jo josh pe rahmat huzūr kī
kaun is kā mustahiq hai gunāhgār ke sivā
murda ko zinda zinda ko murda banā diyā
kis meñ ye baat hai terī guftār ke sivā
ḳhuld-e-barīñ meñ baiTh rahe jā ke muttaqī
hāzir rahā na koī gunāhgār ke sivā
kyā chain aa.e ḳhāna-e-sayyād meñ hameñ
dam-bhar kahīñ rahe nahīñ gulzār ke sivā
bār-e-ajal uThā.e jo koī ḳhushī ḳhushī
tāqat ye kis meñ hai tere bīmār ke sivā
ai yār-e-soz-e-dil maraz lā-ilāj hai
jā.egā na ye sharbat-e-dīdār ke sivā
āzād to kiyā mujhe ye to batāiye
jā۔ūñ kahāñ maiñ aap kī sarkār ke sivā
mar-miT ke kaun gor-e-ġharībāñ meñ jaaye shaah
apnī jagah kahāñ hai dar-e-yār ke sivā
socha kabhi na ishq mein kuchh pyar ke siwa
hasrat koi na ki tere didar ke siwa
aae kabhi jo josh pe rahmat huzur ki
kaun is ka mustahiq hai gunahgar ke siwa
murda ko zinda zinda ko murda bana diya
kis mein ye baat hai teri guftar ke siwa
KHuld-e-barin mein baiTh rahe ja ke muttaqi
hazir raha na koi gunahgar ke siwa
kya chain aae KHana-e-sayyaad mein hamein
dam-bhar kahin rahe nahin gulzar ke siwa
bar-e-ajal uThae jo koi KHushi KHushi
taqat ye kis mein hai tere bimar ke siwa
ai yar-e-soz-e-dil maraz la-ilaj hai
jaega na ye sharbat-e-didar ke siwa
aazad to kiya mujhe ye to bataiye
ja۔un kahan main aap ki sarkar ke siwa
mar-miT ke kaun gor-e-ghariban mein jaye shah
apni jagah kahan hai dar-e-yar ke siwa
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 68)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.