saqi wo hum kahan hain kahan hai wo na-o-nosh
saaqī vo ham kahāñ haiñ kahāñ hai vo nā-o-nosh
yaañ mai-kashī kī kis meñ rahte haiñ havās-o-hosh
mai kā jahāñ meñ koī ḳharīdār hī nahīñ
baiThe haiñ sab dūkān meñ be-kār mai-farosh
vo āh-o-nāla aah kahāñ dard-e-dil kahāñ
vo josh-e-nau-javānī kahāñ aur vo ḳhurosh
dil se bhī baat karne kī tāqat nahīñ mujhe
baiThā rahūñ huuñ band kiye chashm bas ḳhamosh
saqi wo hum kahan hain kahan hai wo na-o-nosh
yan mai-kashi ki kis mein rahte hain hawas-o-hosh
mai ka jahan mein koi KHaridar hi nahin
baiThe hain sab dukan mein be-kar mai-farosh
wo aah-o-nala aah kahan dard-e-dil kahan
wo josh-e-nau-jawani kahan aur wo KHurosh
dil se bhi baat karne ki taqat nahin mujhe
baiTha rahun hun band kiye chashm bas KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.