sirf mujhko ishq tera chahiye
sirf mujh ko 'ishq terā chāhiye
'ishq ho terā to phir kyā chāhiye
jis ke bin dekhe ho ye hālat mirī
dekhe to kyā ho ye dekhā chāhiye
jo na samjhe us ko samjhātā hai tū
nāsehā itnā to samjhā chāhiye
maut se bad-tar ho jis kī zindagī
zindagī us kī ko dekhā chāhiye
vasl kī bhī aarzū 'ġhamgīñ' na ho
yā'nī 'āshiq-e-be-tamannā chāhiye
sirf mujh ko 'ishq tera chahiye
'ishq ho tera to phir kya chahiye
jis ke bin dekhe ho ye haalat meri
dekhe to kya ho ye dekha chahiye
jo na samjhe us ko samjhata hai tu
naseha itna to samjha chahiye
maut se bad-tar ho jis ki zindagi
zindagi us ki ko dekha chahiye
wasl ki bhi aarzu 'ghamgin' na ho
ya'ni 'ashiq-e-be-tamanna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.