hain kai tarh ke hamdam mujhe dildar ke pas
haiñ ka.ī tarh ke hamdam mujhe dildār ke paas
varna baiThā huuñ maiñ har ik but-e-'ayyār ke paas
kar chuke band parastār jab us kī āñkheñ
tab vo aayā kahīñ us 'āshiq-e-bīmār ke paas
dekh saktā na ġham-e-hijr meñ aisā betāb
zahr bhī aah jo hotā mire ġham-ḳhvār ke paas
fasl-e-gul bhī na sayyād ne chhoḌā varna
āshiyāna ham bhī banāte kisī gulzār ke paas
mujhe dīvāna kiyā sohbat-e-hoshiyāroñ ne
vaa.e ai 'aql na baiThā kisī sarshār ke paas
hain kai tarh ke hamdam mujhe dildar ke pas
warna baiTha hun main har ek but-e-'ayyar ke pas
kar chuke band parastar jab us ki aankhen
tab wo aaya kahin us 'ashiq-e-bimar ke pas
dekh sakta na gham-e-hijr mein aisa betab
zahr bhi aah jo hota mere gham-KHwar ke pas
fasl-e-gul bhi na sayyaad ne chhoDa warna
aashiyana hum bhi banate kisi gulzar ke pas
mujhe diwana kiya sohbat-e-hoshiyaron ne
wae ai 'aql na baiTha kisi sarshaar ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.