ab raha kya hai jaan jaane mein
ab rahā kyā hai jaan jaane meñ
tum ne jo der kī hai aane meñ
maiñ hī jā۔ūñ vahāñ kisī Dhab se
hogā charchā yahāñ bulāne meñ
kisī khāne meñ vo nahīñ lazzat
hai mazā jo ki ġham ke khāne meñ
tum manā laao dosto us ko
hai qabāhat mire manāne meñ
tum ko maiñ chāhtā huuñ ai sāheb
hai ye mash.hūr sab zamāne meñ
kuchh samajh meñ mirī nahīñ aatā
ab hai kyā fā.ida chhupāne meñ
zāhidā dekh haal 'ġhamgīñ' kā
lutf ye hai sharāb-ḳhāne meñ
ab raha kya hai jaan jaane mein
tum ne jo der ki hai aane mein
main hi ja۔un wahan kisi Dhab se
hoga charcha yahan bulane mein
kisi khane mein wo nahin lazzat
hai maza jo ki gham ke khane mein
tum mana lao dosto us ko
hai qabahat mere manane mein
tum ko main chahta hun ai saheb
hai ye mashhur sab zamane mein
kuchh samajh mein meri nahin aata
ab hai kya faida chhupane mein
zahida dekh haal 'ghamgin' ka
lutf ye hai sharab-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.