dui dur kar ke jo hum dekhte hain
duī duur kar ke jo ham dekhte haiñ
to hī ek dair-o-haram dekhte haiñ
ye kuchh kufr uTThā hai dil meñ hamāre
ki kā'ba meñ baiThā sanam dekhte haiñ
ḳhudā ke karam se samajhte haiñ behtar
sanam tujh se jo ham sitam dekhte haiñ
kisī ko nahīñ dekhte ham jahāñ meñ
usī ko ḳhudā kī qasam dekhte haiñ
jinheñ do ghaḌī vasl hotā hai hāsil
vo ik 'umr-e-hijrāñ ke ġham dekhte haiñ
sar un kā do-'ālam se guzre hai pyāre
jo ik baar tere qadam dekhte haiñ
ḳhudā dushmanoñ ko na dikhlā.e 'ġhamgīñ'
jo kuchh dost apne se ham dekhte haiñ
dui dur kar ke jo hum dekhte hain
to hi ek dair-o-haram dekhte hain
ye kuchh kufr uTTha hai dil mein hamare
ki ka'ba mein baiTha sanam dekhte hain
KHuda ke karam se samajhte hain behtar
sanam tujh se jo hum sitam dekhte hain
kisi ko nahin dekhte hum jahan mein
usi ko KHuda ki qasam dekhte hain
jinhen do ghaDi wasl hota hai hasil
wo ek 'umr-e-hijran ke gham dekhte hain
sar un ka do-'alam se guzre hai pyare
jo ek bar tere qadam dekhte hain
KHuda dushmanon ko na dikhlae 'ghamgin'
jo kuchh dost apne se hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.