ghar ghar tajalliyan hain talabgar bhi to ho
ghar ghar tajalliyāñ haiñ talabgār bhī to ho
muusā sā koī tālib-e-dīdār bhī to ho
dil dard-nāk chāhiye lākhoñ haiñ ḳhūb-rū
iisā haiñ saikḌoñ koī bīmār bhī to ho
gar ham nahīñ to raunaq-e-bāzār-e-ishq kyā
ai husn-e-ḳhud-farosh ḳharīdār bhī to ho
parde meñ chāhtā hai ki hañgāma ho bapā
ai āftāb-e-hashr numūdār bhī to ho
itnī udaas sohbat-e-mai vaah mai-kasho
dast-e-subū meñ shaiḳh kī dastār bhī to ho
zāhid umīd-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharāb pī ke gunahgār bhī to ho
so.uuñ maiñ aa ke dhuup se pāūñ amaañ magar
raazī tumhārā sāya-e-dīvār bhī to ho
saaqī udaas kyuuñ na ho bazm-e-mai-o-subū
mai-ḳhāna meñ 'amīr' sā mai-ḳhvār bhī to ho
ghar ghar tajalliyan hain talabgar bhi to ho
musa sa koi talib-e-didar bhi to ho
dil dard-nak chahiye lakhon hain KHub-ru
isa hain saikDon koi bimar bhi to ho
gar hum nahin to raunaq-e-bazar-e-ishq kya
ai husn-e-KHud-farosh KHaridar bhi to ho
parde mein chahta hai ki hangama ho bapa
ai aaftab-e-hashr numudar bhi to ho
itni udas sohbat-e-mai wah mai-kasho
dast-e-subu mein shaiKH ki dastar bhi to ho
zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajw-e-mai
pahle sharab pi ke gunahgar bhi to ho
soun main aa ke dhup se paun aman magar
raazi tumhaara saya-e-diwar bhi to ho
saqi udas kyun na ho bazm-e-mai-o-subu
mai-KHana mein 'amir' sa mai-KHwar bhi to ho
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 108)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.