ghaTa uThi hai tu bhi khol zulf-e-’ambarin saqi
ghaTa uThi hai tu bhi khol zulf-e-’ambarin saqi
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
ghaTā uThī hai tū bhī khol zulf-e-’ambarīñ saaqī
tire hote falak se kyuuñ ho sharminda zamīñ saaqī
ye kis bhaTTī kī dī tū ne sharāb-e-ātishīñ saaqī
ki piite hī ragoñ meñ bijliyāñ sī bhar ga.iiñ saaqī
yahīñ se pā.ūñgā har ne’mat-e-duniyā-o-dīñ saaqī
kahīñ kyuuñ jā.ūñ tere mai-kada meñ kyā nahīñ saaqī
jo tar-dāman hai terā paak dāmānoñ se behtar hai
garebāñ chaak hai ashkoñ se tar hai āstīñ saaqī
na chheḌ ai mohtasib maiñ huuñ mai-e-vahdat kā matvālā
maiñ vo mai-ḳhvār huuñ jis ke haiñ ḳhatm-ul-mursalīn saaqī
salāmat terā mai-ḳhāna salāmat tere mastāne
rahegā rañg-e-’ālam meñ yahī tā-yaum-e-dīñ saaqī
vahī bāteñ to ‘majzūb’ apnī baḌ meñ kah sunātā hai
zarā sambhle hue lafzoñ meñ jo tuune kahīñ saaqī
'ajab mashrab hai terā tujh ko ai ‘majzūb’ kyā samjheñ
kahīñ pīr-e-muġhāñ tū hai kahīñ mai-kash kahīñ saaqī
ghaTa uThi hai tu bhi khol zulf-e-’ambarin saqi
tere hote falak se kyun ho sharminda zamin saqi
ye kis bhaTTi ki di tu ne sharab-e-atishin saqi
ki pite hi ragon mein bijliyan si bhar gain saqi
yahin se paunga har ne’mat-e-duniya-o-din saqi
kahin kyun jaun tere mai-kada mein kya nahin saqi
jo tar-daman hai tera pak damanon se behtar hai
gareban chaak hai ashkon se tar hai aastin saqi
na chheD ai mohtasib main hun mai-e-wahdat ka matwala
main wo mai-KHwar hun jis ke hain KHatm-ul-mursalin saqi
salamat tera mai-KHana salamat tere mastane
rahega rang-e-’alam mein yahi ta-yaum-e-din saqi
wahi baaten to ‘majzub’ apni baD mein kah sunata hai
zara sambhle hue lafzon mein jo tune kahin saqi
'ajab mashrab hai tera tujh ko ai ‘majzub’ kya samjhen
kahin pir-e-mughan tu hai kahin mai-kash kahin saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.