Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ghaTega tere kuche mein waqar aahista aahista

Hasrat Mohani

ghaTega tere kuche mein waqar aahista aahista

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    ghaTegā tere kūche meñ vaqār āhista āhista

    baḌhegā āshiqī e'tibār āhista āhista

    bahut nādim hue āḳhir vo mere qatl-e-nāhaq par

    huī qadr-e-vafā jab āshkār āhista āhista

    jilā.e shauq se ā.īna-e-tasvīr-e-ḳhātir meñ

    numāyāñ ho chalā rū-e-nigār āhista āhista

    mohabbat jo phailī hai ye nik.hat bāġh-e-ālam meñ

    huī hai muntashir ḳhushbu-e-yār āhista āhista

    milā kar ḳhaak meñ mujh ko jhukī hai sharm se lekin

    uThegī phir va chashm-e-fitna-kār āhista āhista

    dil-o-jān-o-jigar sabr-o-ḳhirad jo kuchh hai paas apne

    ye sab kar deñge ham un par nisār āhista āhista

    ajab kuchh haal ho jaatā hai apnā be-qarārī se

    bajāte haiñ kabhī jab vo sitār āhista āhista

    asar kuchh kuchh rahegā vasl meñ bhī rañj-e-furqat

    dil-e-muztar ko aa.egā qarār āhista āhista

    na ā.eñge vo 'hasrat' intizār-e-shauq meñ yūñ-hīñ

    guzar jā.eñge ayyām-e-bahār āhista āhista

    ghaTega tere kuche mein waqar aahista aahista

    baDhega aashiqi ka e'tibar aahista aahista

    bahut nadim hue aaKHir wo mere qatl-e-nahaq par

    hui qadr-e-wafa jab aashkar aahista aahista

    jilae shauq se aaina-e-taswir-e-KHatir mein

    numayan ho chala ru-e-nigar aahista aahista

    mohabbat ki jo phaili hai ye nikhat bagh-e-alam mein

    hui hai muntashir KHushbu-e-yar aahista aahista

    mila kar KHak mein mujh ko jhuki hai sharm se lekin

    uThegi phir wa chashm-e-fitna-kar aahista aahista

    dil-o-jaan-o-jigar sabr-o-KHirad jo kuchh hai pas apne

    ye sab kar denge hum un par nisar aahista aahista

    ajab kuchh haal ho jata hai apna be-qarari se

    bajate hain kabhi jab wo sitar aahista aahista

    asar kuchh kuchh rahega wasl mein bhi ranj-e-furqat ka

    dil-e-muztar ko aaega qarar aahista aahista

    na aaenge wo 'hasrat' intizar-e-shauq mein yun-hin

    guzar jaenge ayyam-e-bahaar aahista aahista

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 218)
    • Author : Hasrat Mohani
    • Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now