main hun sirr-e-haqiqat la-makan hai KHas ghar mera
maiñ huuñ sirr-e-haqīqat lā-makāñ hai ḳhaas ghar merā
magar hai ishq meñ is vaqt pherā dar-badar merā
do-'ālam huuñ do-'ālam meñ huuñ do-'ālam pe chhāyā huuñ
maiñ har jā huuñ har ik sūrat har ik jā hai guzar merā
mire ijmāl kī tafsīl hai sab donoñ 'ālam meñ
kahīñ sūraj mirā jalva kahīñ naqsha qamar merā
tamāsha huuñ tamāshe meñ huuñ aur ḳhud huuñ tamāshā-gar
maiñ ḳhud hī dañg rahtā huuñ tamāsha dekh kar merā
haqīqat meñ haqīqat merī kyā hai ik haqīqat hai
udhar be-chūnī hai naqsha hai bā-chūnī idhar merā
maiñ lafz-e-kun huuñ aur phir lafz-e-kun kī ḳhud haqīqat huuñ
maiñ saut-e-sarmadī huuñ shor hai āThoñ pahar merā
koī aagah nahīñ asrār se mere haqīqat meñ
jo dekhī shakl-o-sūrat naam rakhā hai bashar merā
haqāyaq meñ nahīñ bāteñ mirī taqlīd kī rū se
muhaqqiq huuñ haqīqat ke bayāñ meñ hai hunar merā
jise chashm-e-ḳhudā-bīñ ho haqīqat ko mirī dekhe
musāhib huuñ ḳhudā kā ġhulġhula hai auj par merā
mohammad huuñ kahīñ shakl-e-'arab meñ 'ain-e-rab ho kar
kahīñ tafsīl meñ hai haal phir shakl-e-digar merā
nahīñ huuñ maiñ nahīñ huuñ kuchh nahīñ mujh meñ nahīñ huuñ maiñ
jo kuchh hai bas vahī hai naam hai 'ġhausī' magar merā
main hun sirr-e-haqiqat la-makan hai KHas ghar mera
magar hai ishq mein is waqt phera dar-badar mera
do-'alam hun do-'alam mein hun do-'alam pe chhaya hun
main har ja hun har ek surat har ek ja hai guzar mera
mere ijmal ki tafsil hai sab donon 'alam mein
kahin suraj mera jalwa kahin naqsha qamar mera
tamasha hun tamashe mein hun aur KHud hun tamasha-gar
main KHud hi dang rahta hun tamasha dekh kar mera
haqiqat mein haqiqat meri kya hai ek haqiqat hai
udhar be-chuni hai naqsha hai ba-chuni idhar mera
main lafz-e-kun hun aur phir lafz-e-kun ki KHud haqiqat hun
main saut-e-sarmadi hun shor hai aaThon pahar mera
koi aagah nahin asrar se mere haqiqat mein
jo dekhi shakl-o-surat nam rakha hai bashar mera
haqayaq mein nahin baaten meri taqlid ki ru se
muhaqqiq hun haqiqat ke bayan mein hai hunar mera
jise chashm-e-KHuda-bin ho haqiqat ko meri dekhe
musahib hun KHuda ka ghulghula hai auj par mera
mohammad hun kahin shakl-e-'arab mein 'ain-e-rab ho kar
kahin tafsil mein hai haal phir shakl-e-digar mera
nahin hun main nahin hun kuchh nahin mujh mein nahin hun main
jo kuchh hai bas wahi hai nam hai 'ghausi' magar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.