meri hasti ka mujhe wahm tha koi parda uske siwa na tha
mirī hastī kā mujhe vahm thā koī parda us ke sivā na thā
mirā yaar thā mere saath go maiñ ḳhudā na thā vo judā na thā
mirī yaar hī se ye buud thī mujhe yaar hī se namūd thī
vahī jalva-gar thā vajūd meñ kisī dūsre kā pata na thā
maiñ ġharīq-e-bahr-e-vajūd thā mujhe us se is kā shuhūd thā
magar apnī hastī ke vahm se maiñ judā thā us se milā na thā
mujhe khoyā mirī ḳhudī ne ḳhud mujhe maarā mire hī vahm ne
vo chhupā huā thā mujhī meñ hī magar is tarah ke chhupā na thā
maiñ unhī kī āñkhoñ meñ rahtā thā mirī āñkhoñ meñ vo samā.e the
nahīñ vo vahī un meñ samā.e the kahūñ kyā ke kyā thā maiñ kyā na thā
mirā tan nahīñ mirā dil hai ye mirā dil nahīñ mirī jaañ hai ye
mirī jaañ nahīñ koī aur hai mujhe us kā raaz khulā na thā
kahā maiñ ne paas hī rah ke tum rahe duur itnā to yuuñ kahā
tū mirā hai ab to tirā huuñ maiñ tū mirā na thā maiñ tirā na thā
maiñ thā apne banñe se pahle vaañ ke na pahuñche aql-o-gumāñ jahāñ
thā kisī ke ilm meñ maiñ magar ye thā rahnā goyā ke thā na thā
maiñ vahī huuñ 'ġhausī'-e-be-nishāñ ki vo bā-nishāñ hai mirā nishāñ
vo milā to ḳhud kā pata chalā mirā mujh ko ḳhud hī pata na thā
meri hasti ka mujhe wahm tha koi parda us ke siwa na tha
mera yar tha mere sath go main KHuda na tha wo juda na tha
meri yar hi se ye bud thi mujhe yar hi se namud thi
wahi jalwa-gar tha wajud mein kisi dusre ka pata na tha
main ghariq-e-bahr-e-wajud tha mujhe us se is ka shuhud tha
magar apni hasti ke wahm se main juda tha us se mila na tha
mujhe khoya meri KHudi ne KHud mujhe mara mere hi wahm ne
wo chhupa hua tha mujhi mein hi magar is tarah ke chhupa na tha
main unhi ki aankhon mein rahta tha meri aankhon mein wo samae the
nahin wo wahi un mein samae the kahun kya ke kya tha main kya na tha
mera tan nahin mera dil hai ye mera dil nahin meri jaan hai ye
meri jaan nahin koi aur hai mujhe us ka raaz khula na tha
kaha main ne pas hi rah ke tum rahe dur itna to yun kaha
tu mera hai ab to tera hun main tu mera na tha main tera na tha
main tha apne banne se pahle wan ke na pahunche aql-o-guman jahan
tha kisi ke ilm mein main magar ye tha rahna goya ke tha na tha
main wahi hun 'ghausi'-e-be-nishan ki wo ba-nishan hai mera nishan
wo mila to KHud ka pata chala mera mujh ko KHud hi pata na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.