jaan-e-jaan dil ko hamare karte ho taraj kya
jān-e-jāñ dil ko hamāre karte ho tārāj kyā
jab dikhātā hai tumheñ jalva to kal kyā aaj kyā
dekhne vāloñ ko tere taab va.adoñ kī kahāñ
juz tumhārī diid ke haañ kaam kyā hai kaaj kyā
ye kaho kis ko nikālā paas se jab saath ho
mulk-e-itlāqī se tum ne hai kiyā iḳhrāj kyā
ek biinī ek daanī jis kā sheva ho gayā
āñkhoñ meñ phir us kī tārājī hai kyā aur raaj kyā
jab ke ham kuchh the to apnī laaj un ke haath thī
ham hī jab Thahre na kuchh to phir hamārī laaj kyā
lam-yalid Thahrā vo jab ham lam-yakun-shai.an hue
qul-hu-vallahu-ahad hai nutfa-e-amshāj kyā
shāh-e-'ġhausī' hai faqīrī bhes ab ham ko pasand
bas hameñ farsh-e-zamīñ kaafī hai taḳht-o-tāj kyā
jaan-e-jaan dil ko hamare karte ho taraj kya
jab dikhata hai tumhein jalwa to kal kya aaj kya
dekhne walon ko tere tab wadon ki kahan
juz tumhaari did ke han kaam kya hai kaj kya
ye kaho kis ko nikala pas se jab sath ho
mulk-e-itlaqi se tum ne hai kiya iKHraj kya
ek bini ek dani jis ka shewa ho gaya
aankhon mein phir us ki taraji hai kya aur raj kya
jab ke hum kuchh the to apni laj un ke hath thi
hum hi jab Thahre na kuchh to phir hamari laj kya
lam-yalid Thahra wo jab hum lam-yakun-shaian hue
qul-hu-wallahu-ahad hai nutfa-e-amshaj kya
shah-e-'ghausi' hai faqiri bhes ab hum ko pasand
bas hamein farsh-e-zamin kafi hai taKHt-o-taj kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.